[Image 354.jpg] بسم اللہ الرحمٰن الرحیم Imam Hussain Alaihissalam ki shahadat par Imam Shafai Raziallah Anhu ke Ash.aar. (1) Jis cheez ne meri neend uda di aur mere baalon Ko safaid kar diya woh aisi gardish e zamana hai jismein badi badi musibate.n hai. (2) Mera qalb ghum wa aah se choor hai mera dil ghamgeen wa ranjoor hai meri neend udd chuki hai aur ye be khwabi ajeeb hai. (3) koi hai jo Hazrat Hussain Alaihissalam Ko meri taraf se ye Paigham pahucha de khwah kisi Ko kitna hi gira.n Kyun na guzre. (4) Unhe bila kisi jurm ke hi Shaheed kar diya gaya aur unki qamees aisi lagti hai jaise use arjwaan ke paani mein rang diya gaya ho. (5) Unke wafaat par talware.n fariyaad Kuna hain neze nauha khwa.n aur ghodo.n ki awaaz Aah o fugha.n mein badal chuki hai. (6) Aale Muhammad sallallahu alaihe wasallam ki shahadat ki wajah se duniya hil gayi hai aur qareeb tha ki pahado.n ka goonga pan khatm ho jaye aur woh cheekh pade.n. (7) Sitare doob gaye sayyare kapkapa uthe parde phaad diye gaye aur