Skip to main content

13 RAJAB WILADAT MAULA ALI A.S

SHERE KHUDA HAZRAT ALI RADIALLAHU TAALA ANHU KI WILADAT(Birth) KI BASHARAT...IMG-20180331-WA0001

Yaman Me Ek Zahid The Jinka Naam " MASHRAM BIN WAIBUSHSHEFAN " Tha Unki Umar Sharif 190 Saal Thi Aur Bade Ibadat Guzar the...

Ek Din Aapne Apni Ibadat ke Auqat me Bargah-E-Rabb Me Munajat ki "AYE ALLAH TAA'LA ! APNE HABIB-E-PAAK KE KISI QAREEBI AZIZ SE MERI MULAQAT KARVA DE" Apki Dua Qabool Hui....

Unhi Dino Abu Talib Yaman ke Safar par aaye Jab Yaman Pahoche To Yaman Ke Shurfa Se Mulaqat Hui Fir Hazrat Mashram Bin Vaibushshefan Ki Ziyarat ke liye Aae Hazrat mashram ne apki badi khatirO-Madarat ki Aur Badi Tazeem se Apne pas Bithaya Aur Guftagu ki.....

UNKI GUFTAGU KUCH IS TRAH THI......

HAZRAT MASHRAM :- Aap Kis Koum Se hai Aur kaha Ke Rehne wale hai ???

HAZRAT ABU TALIB R.A :- Me Ahle Tihama Se hu....

HAZRAT MASHRAM :- Tihama Me Kis Jagah Rehne Wale ho.??

HAZRAT ABU TALIB R.A :- Makka Muqarrama ka Rehne Wala hu.....

HAZRAT MASHRAM :- Kis Qabeele Se Talluk Rakhte ho ??

HAZRAT ABU TALIB R.A :- Bani Hashim Bin Abde Munaf Se hu....

HAZRAT MASHRAM :- Alhamdulillah Mere Rabb ne Meri Dua Qabool Farmai Aur Apki Ziyarat Karva di Ab aap ye batae Ki Apka naam kya hai ???

HAZRAT ABU TALIB R.A :- Mera Naam Abu Talib hai .....

HAZRAT MASHRAM :- Apke Walid ka naam kya hai ???

HAZRAT ABU TALIB R.A :- Mere Walid ka Naam Abdul Muttalib hai...

HAZRAT MASHRAM :- Aye Abu Talib Meri baat ko Gour se Suno...

Mene Pehle ki Qitabo me Padha hai Ke Hazrat Abdul Muttalib Ke do Pote Honge Unme Se ek Nabi Mursal Hoga Uske Baap ka Naam Abdullah Hoga Aur Dusra Wali-E-Qamil Hoga Uske Baap ka Naam Abu Talib Hoga Aur Jab wo Nabi 30 Saal ke Ho Jaenge To Allah Taa'la Us Wali e Qamil ko Paida Farmaega....

Itna Kehne ke Bad Hazrat Mashram ne Fir Is trah Guftagu Shuru Ki...

HAZRAT MASHRAM :- Aye Abu Talib Kya wo Nabi Mursal Paida Ho Chuke hain ???

HAZRAT ABU TALIB R.A :-  Haan! Wo Nabi Mursal Paida Ho chuke hai Aur Unka Naam Muhammad hai Aur Is Waqt Unki Umar Sharif 29 Saal hai....

HAZRAT MASHRAM :- Abu Talib Mubarak ho 

Is Saal Allah Taa'la Tumhe Wo Farzand Ata Farmaega Jo Imaam-e-Muttaqiya Aur Peshwa-e-Momin Hoga Aye Abu Talib Jab tum Makka Pahocho to Apne Bhatije Muhammad Sallahu Alayhi Wasallam Se mera Salam Kehna Aur Ye bhi Arz Karna Ke Mashram Apke Gaibana Niyazmando Me hai Aur Is baat Ki Shahadat Deta hai Ke Khuda Ek hai Aur Aap Uske Sacche Rasool hain. ....

(TAZKIRA E SAIYEDNA ALI E MURTUZA (رضى الله عنه) PAGE NO :-19/20/21 )

[3/31, 5:16 PM] Aquib Qutbi: SHERE KHUDA HAZRAT ALI RADIALLAHU TAALA ANHU KI WILADAT(Birth) KI BASHARAT...

[3/31, 5:34 PM] Aquib Qutbi: HAR KOI ZAMANE KA WALI HO NAHI SAKTA

 AUR SAHIB E-AUSAF-E-JALI HO NAHI SAKTA

 MAT TAOL ISE AQL KE MEEZAN MEIN MAJID 

JO AQL MEIN AAJAYE ALI (as) HO NAHI SAKTA.

Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot...

JERUSALEM AND UMAR IBN AL-KHATTAB (RA)

Jerusalem is a city holy to the three largest monotheistic faiths – Islam, Judaism, and Christianity. Because of its history that spans thousands of years, it goes by many names: Jerusalem, al-Quds, Yerushaláyim, Aelia, and more, all reflecting its diverse heritage. It is a city that numerous Muslim prophets called home, from Sulayman and Dawood to Isa (Jesus), may Allah be pleased with them. During the Prophet Muhammad ﷺ’s life, he made a miraculous journey in one night from Makkah to Jerusalem and then from Jerusalem to Heaven – the Isra’ and Mi’raj. During his life, however, Jerusalem never came under Muslim political control. That would change during the caliphate of Umar ibn al-Khattab, the second caliph of Islam. Into Syria During Muhammad ﷺ’s life, the Byzantine Empire made clear its desire to eliminate the new Muslim religion growing on its southern borders. The Expedition of Tabuk thus commenced in October 630, with Muhammad ﷺleading an army of 30,000 people to the border with...

Waqia e Al-Harrah

THE BATTLE OF HARRAH (27 Zilhajj, 63 Hijri). The Battle of al-Harrah is a battle fought at al-Harrah in 683 CE, (27 Zilhajj, 63 Hijri) then lying to the northeast of Medina. The battle was fought against the armies of Yazid ibn Muawiyah by Abdullah ibn Zubayr and his allies, the people of Medina and several notable Sahabas, many of whom were killed in the battle. It is the second most infamous battle during the reign of Yazid bin Muawiyah, the 2nd Umayyad Caliph. When Yazid ibn Muawiyah became Umayyad Caliph in 680 CE he faced two major crises. First was the dissent of Husayn ibn Ali and the other was the revolt of Abdullah ibn Zubayr. Husayn ibn Ali rejected the legitimacy of Yazid ibn Muawiyah as Caliph, which ultimately led to his death in the Battle of Karbala on October 10, 680. This event further deepened the schism between Sunni and Shia denominations. After killing of Husayn ibn Ali that Abdullah ibn Zubayr, the hero of the Battle of Sufetula which was fought in 647 against the...