Skip to main content

All Type Burning Chest Tezabiyat Seene ki Jalan Ka Ilaj

Seene ki jalan hona bhi 1 aam baat hai aaj ka hamara khan paan bhi kuchh aisa hai ki tali chupdi aur murgan cheejen had se ziyadah istimaal karte hain jiski wajah se bhi tezabiyat seene ki jalan ho sakti hai magar fir bhi hamari ray yahi hai ki aisi koi probelm ho to Dr. se 1 baar jarur milen aur isko kabhi bhi halke mein na len kyunki heart burn & chest burn same ho sakta hai jisko janna kabhi dushwar bhi ho jata hai

 

Burn Chest Fact_Seene mein Jalan Hone Ki Important Nishaniyan

1:Seene ki haddi (bone) ke neeche jalan, sowzish ka ehsaas hona.

 

2:seene ki jalan ki surat mein dard hona

 

3:Seene mein jalan ki shikayat ziyadatar khane ke baad mehsoos hoti hai.

 

4: sleep sone ki surat mein Heart Burn ki shiddat badh jati hai.

 

5: Antacid aur dawaon ( medicines) ke istemaal se dard me kuchh rahat mil jati hai jiski wajhah se dard door ho jata hai.Is takleef mein saans lene mein preshani , sir mein halka dard mehsoos hona, chakkar aana, thandda paseena aane ki shikayat hona etc wagairah ho to yeh samjhlen ki aapko finly burn chest yani seene ki jalan aur tezabiyat hai iske liye aap yeh nuskhe use karen insha allah aapko kafi had tak aaram milega

(1) agar ho sake to daily 1 kela (banana) din ke waqt khaliya karen isse bhi aapke seene ki jalan mein faidah hoga
(2) har 3 din mein isapgol 2_3 spoon pani ke sath faank len han khali isapgol munh mein chipak sakti hai isliye pehle munh mein thoda pani le fir faank len insha allah bahut kaamyab nuskha hai seene ki jalan ka
(3) hafte (weekly) mein 2 roze rakhen jismein sehri mein khana bahut kam khana hai aur roza 1 aisa hathyar hai ki bimariyun ko paas tak nahi aane deta hai isski ziyadah jaankari ke liye yahan padehn Kya Roza Bimar Karta Hai Dr. Special Report

(4) tezabiyat ka behtreen ilaj yeh hai ki khira kakdi moli patun ke saath shaljam gajar chuqandar ki sabjiyan aur apple ko bina chhilka utare khaen warna chheelne se isska vitamans khatam hojate hain han achhi tarah se dhole bas yahi kafi hai
(5) jalan ka khaas issue hota hai pani ki kami jab hamari body ko zarurat ka pani nahi milta hai to iski wajah se sirf seene ki jalan hi nahi balki bahut si bimariyan janam leleti hain to isska shandar ilaj yeh hai ki kam se kam 10_12 gilaas pani 24 hr mein jarur piyen isse bhi aapki  jalan khatm hogi

(6) thande mashrubat pepsis and bahut ziyadah thanda pani achaar medeh se bani chijen pizza paranthe aur mithi dishen etc. se bachne aur khana jitna ho sake kam half hi khaen agarche aapki khawahish abhi baki hai magar haath ko rokne ki koshish karlijiye isse na sirf aapki seene ki jalan kam hogi balki aapki bahut si bimariyun ka ilaj hojaega aur aap 1 dam tari taza aur tandrust rahenge yeh nuskha agar aapne karliya to samjen ki 80% bimariyan aapke kareeb tak nahi aaegi insha allah
you can trust me hi is all the tips very powerfull for all type Burning chest (seene ki jalan)

Treatment Of Asthma (Dama Ka Behtreen Ilaj

 

(1) daily 3_5 Khajoor kha kar upar se garam pani pilijiye isse belgaum patla hokar nikal jaega aur damah ki takleef mein bahut madad karega insha allah
(2) 3 Khushk (sukhi hui) anjeer doodh mein pakakar daily subah w shaam istemaal karen isse bhi balgam patla hokar nikal jaega aur damah ke mareez ko shifayabi milegi
Agar damah ka hamla ho to yeh 3 tips bahut kamyab hai sehat ke liye jab bhi damah ki shikayat ho to Haldi aur soonth thoda sa shahad ke saath lelen foran damah ki shikayat door hogi

(3) 1 paka huaa kela aag ki loi par garam karen aur fir usko chhel kar pisi hui kali mirch chhidak kar khalen rahat milegi
(4) 2 tea spoon adrak ka ras shehad ke saath istemaal karne se bhi damah ke mareez ko sukoon milta hai insha allah taala

Hi my all dear readers yeh post aapko kaisi lagi apne qimti mashware se hamen khabar karen aapki ray hamen aur isse behtar likhne ki himmat degi insha allah please share this post to all your friends thanks again for reading complet Art.
By. shahadatsherani Indian


 

Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot...

JERUSALEM AND UMAR IBN AL-KHATTAB (RA)

Jerusalem is a city holy to the three largest monotheistic faiths – Islam, Judaism, and Christianity. Because of its history that spans thousands of years, it goes by many names: Jerusalem, al-Quds, Yerushaláyim, Aelia, and more, all reflecting its diverse heritage. It is a city that numerous Muslim prophets called home, from Sulayman and Dawood to Isa (Jesus), may Allah be pleased with them. During the Prophet Muhammad ﷺ’s life, he made a miraculous journey in one night from Makkah to Jerusalem and then from Jerusalem to Heaven – the Isra’ and Mi’raj. During his life, however, Jerusalem never came under Muslim political control. That would change during the caliphate of Umar ibn al-Khattab, the second caliph of Islam. Into Syria During Muhammad ﷺ’s life, the Byzantine Empire made clear its desire to eliminate the new Muslim religion growing on its southern borders. The Expedition of Tabuk thus commenced in October 630, with Muhammad ﷺleading an army of 30,000 people to the border with...

Waqia e Al-Harrah

THE BATTLE OF HARRAH (27 Zilhajj, 63 Hijri). The Battle of al-Harrah is a battle fought at al-Harrah in 683 CE, (27 Zilhajj, 63 Hijri) then lying to the northeast of Medina. The battle was fought against the armies of Yazid ibn Muawiyah by Abdullah ibn Zubayr and his allies, the people of Medina and several notable Sahabas, many of whom were killed in the battle. It is the second most infamous battle during the reign of Yazid bin Muawiyah, the 2nd Umayyad Caliph. When Yazid ibn Muawiyah became Umayyad Caliph in 680 CE he faced two major crises. First was the dissent of Husayn ibn Ali and the other was the revolt of Abdullah ibn Zubayr. Husayn ibn Ali rejected the legitimacy of Yazid ibn Muawiyah as Caliph, which ultimately led to his death in the Battle of Karbala on October 10, 680. This event further deepened the schism between Sunni and Shia denominations. After killing of Husayn ibn Ali that Abdullah ibn Zubayr, the hero of the Battle of Sufetula which was fought in 647 against the...