Hazrat Sarkar Ameer Syed Ruknuddin Madni r.a: (Aap Hazrat Sarkar Ameer Kabeer Qutubuddin Muhammad Al Madni Al kadwi r.a ke pote Aur Hazrat Sarkar Nizamuddin Hasan Al Madni Al kadwi r.a ke Farzand Hai'n.) ------------------------------------------------------------ Qazi Ziauddin Barni r.a ne aap ke ma’arif wa kamalaat ka zikr apni kitab tareekh Firoz shahi mein tafseel se kiya hai. Ba Hawala Tareekh Firozshahi Ameer Syed Ruknuddin Madni r.a jo Syed Tajuddin Madni r.a ke bhatije hai’n. Kada ke Qazi the’n. Allah ne Syed Ruknuddin Madni r.a ko hamasifat mausoof paida kiya tha. wo sahibe kashfo karamat the’n. Sahibe sima the’n aur ajeeb wajd wa kaifiyat rakhte the’n tark wa tajreed aur sakhawat wa aisaar mein aap ka paya bahut buland tha. maulif Tareekh Firozshahi ne Syed Tajuddin Madni r.a wa Syed Ruknuddin Madni r.a ki mulaqat aur qadam bosi ki sa’adat hasil ki hai. Qazi Ziauddin Barni r.a farmate hai’n maine aise Sadaat-e-Uzzam aise buland ausaaf aise shauqat wa hashmat jo Allah Ta’a...